Pradeep Mishra Rudraksh Vitran 2024 – प्रदीप मिश्रा फ्री रुदाक्ष वितरण सम्पूर्ण जानकारी

Pradeep Mishra Rudraksh Vitran 2024 – प्रदीप मिश्रा फ्री रुदाक्ष वितरण सम्पूर्ण जानकारी

sehore kubereshwar dham me guruji pandit pradeep mishra ji dvara rudraksh vitran shuru ho gaya hai yah rudraksh vitran guruji dvara 15 may 2024 se shuru kiya gaya hain..

ab iss article me ham aapko kuch mahattvpurn jaankariyan dene wale hai agar aap sehore kubereshwar dham darshan ke liye ya rudraksh lene jaa rhe hai toh sabhi jaankari aapko avashya sun lena chahiye.pradeep mishra rudraksh

Sehore kubereshwar dham me rukne ki kya vyavastha hai ?

sehore kubereshwar dham me guruji pandit pradeep mishra ji ne apke hi sahyog ke madhyam se rukne ki vyavstha ki hai par usme kamre seemit hai jiss karan wah jaldi full ho jaate hai, wese aap mandir prangad me, katha hall me so sakte hai apko koi rokega nhi.. aur agar aap dharmshala ya hotel me rukna chahate hai toh apni samarth ke ansuaar ruk sakte hai sehore kubereshwar dham ke bahar hi apko kai prakar ke hotel mil jaayenge jinke rate alag alag dekhne ko milenge.. off season aapko 700 se 3000 rate dekhne ko mil sakta hai, on season aapko 2000 se 5000 rate dekhne ko mil jaayega yah rate private hotel me rukne ka hai, sehore kubereshar dham me mandir prangad me aur guruji ke dvara ki gayi sabhi vyavasthaye bilkul free hai waha apko kisi bhi prakar ki raashi nhi deni padegi..

Kubereshwar dham me rudraksh vitran ki timing kya hai ?

rudraksh vitran roj subha 10 baje ke baad se sham 4 se 5 baje tak hota hai.

Kya ravivaar ko bhi milega rudraksh ?

han aapko raviaar ko bhi rudraksh milega abhi rudraksh vitran saptaah ke saato din ho raha hai par bhavashiya me ise somwar se shanivaar par simit bhi kiya jaa sakta hai.

Kitne rudraksh baate jaayenge ?

ek anumaan hai ki lagbhag 40 se 50 lakh rudraksh iss varsh baate jayaayenge jisme pichle varsho ke bache hue rudraksh bhi shamil hai..

Rudraksh vitran kab band hoga ?

rudraksh vitran band karne ki koi tarikh guruji ne nahi batai hai par iss baar vyasthaye acchi hai ek baar me adhik logo ko rudraksh mil raha hai aese me rudraksh bhi jaldi samapt ho sakte hai par yah ek anumaan hai, pichle varsh rudraskh vitran february me band hua tha aur iss baar bhi anumaan hai ki rudraksh vitran jan ya feb 2025 me band hoga.

ek vyakti ko kitne rudraksh milenge ?

Ek vykti ko sirf ek rudraksh milega.

bheed jyada hone par kitni der me rudraksh mil jaayega ?

bhut adhik bheed hone par aapko 20 se 30 minit me rudraksh mil jaayega aur kam bheed hone par aapko 10 se 15 min me rudraksh mil jaayega kyoki bhut saare counter se rudraksh vitran ek sath hota hai

Kubereshwar dham bhojan ki vyavastha ?

kubereshwar dham me subha aur sham aapko nishulk bhojan prapt hoga, iske liye aapko koi khrach karne ki avashyakta nhi hai, yah bhojan aur prasaadi ka vitran seeta mata ki rasoi se kiya jaata hain hai jo mandir prangad me hi hain…

Kya rudraksh online bhi batega ?

bilkul nhi, apko rudraksh ke liye line me hi lagna hoga, online rudraksh bhejne ki abhi koi bhi vyavastha nhi hai agar koi apko dene ki bol raha hai toh wah apke sath fraud kar raha hain.

Kya guruji milenge ?

sabhi ka prshn hota hai kya ham sehore kubereshwar dham jaa rahe hai toh waha hame guruji ke darshan honge toh aapka iske liye bhagyahsaali hona avashyakt hai kyoki guruji ka waha phuchne ka koi nischit samay nhi hota wah kabhi bhi aa jaate hai par tez garmi ke karan din me nhi aate toh aapko sham ki kedarshila ki aarti ke dauraan guruji ke darshan ho sakte hai..

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *